Suryakant Tripathi Nirala

Here you will find thePoemBhar dete hoof poet Suryakant Tripathi Nirala

Bhar dete ho

भर देते हो Bhar dete ho बार-बार, प्रिय, करुणा की किरणों से Baar-baar, priya, karuna ki kirnon se, क्षुब्ध हृदय को पुलकित कर देते हो । Kshubdh hriday ko pulkit kar dete ho. मेरे अन्तर में आते हो, देव, निरन्तर, Mere antar mein aate ho, dev, nirantar, कर जाते हो व्यथा-भार लघु Kar jaate ho vyatha-bhar laghu, बार-बार कर-कंज बढ़ाकर; Baar-baar kar-kanj badhaakar; अंधकार में मेरा रोदन Andhkaar mein mera rodan सिक्त धरा के अंचल को Sikt dhara ke anchal ko करता है क्षण-क्षण Karta hai kshan-kshan कुसुम-कपोलों पर वे लोल शिशिर-कण Kusum-kapolon par ve lol sishir-kan तुम किरणों से अश्रु पोंछ लेते हो, Tum kirnon se ashru ponchh lete ho, नव प्रभात जीवन में भर देते हो । Nav prabhat Jeevan mein bhar dete ho.