Meer Taqi Meer

Here you will find thePoemankhon mein ji mera hai idhar yar dekhnaof poet Meer Taqi Meer

ankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna

ankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna ashiq ka apane akhri didar dekhna kaisa chaman ke ham se asiron ko mana hai chak-e-qafas se bag ki diwar dekhna ankhen churaio na tuk abr-e-bahar se meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhna ae ham-safar na able ko pahunche chashm-e-tar laga hai mere paon mein a kar dekhna hona na char chashm dik uss zulm-paishah se hoshiyar zinhar khabardar dekhna sayad dil hai dag-e-judai se rashk-e-bag tujh ko bhi ho nasib ye gulzar dekhna gar zamzama yahi hai koi din to hamsafar is fasl hi mein ham ko giraftar dekhna bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar ho jayega gale ka kahin har dekhna shayad hamari khak se kuch ho bhi ae nasim girbal kar ke kucha-e-dildar dekhna us khush-nigah ke ishq se parhez kijio 'Mir' jata hai leke ji hi ye azar dekhna